han kabhi hai kabhi hai yar nahin
han kabhi hai kabhi hai yar nahin
Munshi Thakur Parsad Talib
MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib
haañ kabhī hai kabhī hai yaar nahīñ
haañ nahīñ kā kuchh e.atibār nahīñ
sar meñ saudā abas hai duniyā kā
ghar kuchh aisā ye pā.edār nahīñ
qātil abrū se tere Darte haiñ
varna teġh aisī ābdār nahīñ
sang-e-tiflāñ se is liye Dar hai
sar-e-shorīda pā.edār nahīñ
chale jaate haiñ rah-ravān-e-adam
saath vāloñ kā e.atibār nahīñ
phir kisī zulf kā huā saudā
be-sabab dil ko intishār nahīñ
ham piyeñ ḳhud pilā.e gar saaqī
ahd yaañ aisā ustuvār nahīñ
un ke qaul-o-qarār ke hāthoñ
kaun dil hai jo be-qarār nahīñ
dekh kar tujh ko hai ye sannāTā
dil bhī pahlū meñ be-qarār nahīñ
mash.al-e-dāġh saath jā.egī
ḳhauf-e-tārīkī-e-mazār nahīñ
dekheñ kyā ho maiñ huuñ barahna-pā
be-ḳhalish koī nok-e-ḳhār nahīñ
kis ke kahne se tark-e-mai 'tālib'
ḳhaam hai shaiḳh puḳhta-kār nahīñ
han kabhi hai kabhi hai yar nahin
han nahin ka kuchh eatibar nahin
sar mein sauda abas hai duniya ka
ghar kuchh aisa ye paedar nahin
qatil abru se tere Darte hain
warna tegh aisi aabdar nahin
sang-e-tiflan se is liye Dar hai
sar-e-shorida paedar nahin
chale jate hain rah-rawan-e-adam
sath walon ka eatibar nahin
phir kisi zulf ka hua sauda
be-sabab dil ko intishaar nahin
hum piyen KHud pilae gar saqi
ahd yan aisa ustuwar nahin
un ke qaul-o-qarar ke hathon
kaun dil hai jo be-qarar nahin
dekh kar tujh ko hai ye sannaTa
dil bhi pahlu mein be-qarar nahin
mashal-e-dagh sath jaegi
KHauf-e-tariki-e-mazar nahin
dekhen kya ho main hun barahna-pa
be-KHalish koi nok-e-KHar nahin
kis ke kahne se tark-e-mai 'talib'
KHam hai shaiKH puKHta-kar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.