han KHud-azar hain danista saza chahte hain
han KHud-azar hain danista saza chahte hain
Rasheed Kausar Farooquee
MORE BYRasheed Kausar Farooquee
haañ ḳhud-āzār haiñ dānista sazā chāhte haiñ
aisī duniyā se to ham karb-o-balā chāhte haiñ
ham pe khā khā ke taras pūchh rahā hai qātil
taḳhta hai teġh hai farmā.iye kyā chāhte haiñ
kyā koī biit chuke ġham ke badalte mausam
sānehe jo na hue vo bhī huā chāhte haiñ
nūr-e-mahtāb se ham muuñd ke āñkheñ apnī
ātish-afshānī ḳhāvar kī ziyā chāhte haiñ
vo ki Thukrāte haiñ ma.asūm farishtoñ kā libās
apne shaitān se ik chust qabā chāhte haiñ
kaun kahtā huā zindān-e-badan se niklā
qaid meñ rakh ke bhī ham se ye vafā chāhte haiñ
apnī rūdād kā raavī hai ye sotā huā ghar
ik palak niiñd nahīñ chaar bajā chāhte haiñ
mar miTā jin ke liye jam.a kiyā māl-o-manāl
vahī jiinā na rahe ab virsā chāhte haiñ
maut kā ḳhauf bhī hotā to mafar kab miltā
phir ye ham kis liye darmān-o-davā chāhte haiñ
band karne do hameñ band havā ke pañkhe
is farā-ḳhez se jañgal kī havā chāhte haiñ
zindagī tujh ko bahut kuchh to samajh hī ga.e ham
kuchh hijābāt haiñ baaqī so uThā chāhte haiñ
nau-bahārāñ kī nazāhat pe tarāvat pe na jā
kuchh shagūfe haiñ na.e bhī jo khilā chāhte haiñ
kaj-ravāñ naqsh-e-kaf-e-pā ko miTāne ke ba.ad
kitne saada haiñ ki naqsh-e-kaf-e-pā chāhte haiñ
ma.arka ho to yahāñ koī maraz lāhaq hai
lashkarī bhī haiñ to kyā bāñg-e-darā chāhte haiñ
chait jaao un ujāloñ ko pas-andāz karo
kuchh diye haiñ jo koī dam meñ bujhā chāhte haiñ
āsmāñ par vahī rah jaa.eñ na taare hoñ na chāñd
aur to aur ye shams-ul-ulamā chāhte haiñ
sab se mumtāz rahe kāḳh-e-muallā un kā
chār-sū jhoñpaḌiyāñ bhī ra.ūsā chāhte haiñ
ghar se nikle haiñ kafan-posh samajh-būjh ke ham
ki vahī sab se baḌe haiñ jo bhalā chāhte haiñ
ye zamīñ diije hameñ kachche falak-paimā.ī
ham huā chāhte haiñ āb-e-ḳhalā chāhte haiñ
ḳhush karūñ kitnoñ ko kis kis ko banā.ūñ dushman
saare bhagvān mirī parārthnā chāhte haiñ
dast-kash bhī rahe ḳhushūdī-e-duniyā se to kyā
vahī kab ḳhush hai miyāñ jis kī razā chāhte haiñ
ḳhud-farebī kī parastārī-e-gum-karda-rahāñ
ki par-e-kāh haiñ aur kāh-rubā chāhte haiñ
ham jahāñgīr haiñ ik nūr-e-jahāñ rakhte haiñ
us kī chāleñ to nahīñ us kī adā chāhte haiñ
ḳhidmat-e-sher-o-adab kā to hameñ da.avā hai
koī kyā jaane ki taskīn-e-anā chāhte haiñ
han KHud-azar hain danista saza chahte hain
aisi duniya se to hum karb-o-bala chahte hain
hum pe kha kha ke taras puchh raha hai qatil
taKHta hai tegh hai farmaiye kya chahte hain
kya koi bit chuke gham ke badalte mausam
sanehe jo na hue wo bhi hua chahte hain
nur-e-mahtab se hum mund ke aankhen apni
aatish-afshani KHawar ki ziya chahte hain
wo ki Thukraate hain masum farishton ka libas
apne shaitan se ek chust qaba chahte hain
kaun kahta hua zindan-e-badan se nikla
qaid mein rakh ke bhi hum se ye wafa chahte hain
apni rudad ka rawi hai ye sota hua ghar
ek palak nind nahin chaar baja chahte hain
mar miTa jin ke liye jama kiya mal-o-manal
wahi jina na rahe ab wirsa chahte hain
maut ka KHauf bhi hota to mafar kab milta
phir ye hum kis liye darman-o-dawa chahte hain
band karne do hamein band hawa ke pankhe
is fara-KHez se jangal ki hawa chahte hain
zindagi tujh ko bahut kuchh to samajh hi gae hum
kuchh hijabaat hain baqi so uTha chahte hain
nau-bahaaran ki nazahat pe tarawat pe na ja
kuchh shagufe hain nae bhi jo khila chahte hain
kaj-rawan naqsh-e-kaf-e-pa ko miTane ke baad
kitne sada hain ki naqsh-e-kaf-e-pa chahte hain
marka ho to yahan koi maraz lahaq hai
lashkari bhi hain to kya bang-e-dara chahte hain
chait jao un ujalon ko pas-andaz karo
kuchh diye hain jo koi dam mein bujha chahte hain
aasman par wahi rah jaen na tare hon na chand
aur to aur ye shams-ul-ulama chahte hain
sab se mumtaz rahe kaKH-e-mualla un ka
chaar-su jhonpaDiyan bhi rausa chahte hain
ghar se nikle hain kafan-posh samajh-bujh ke hum
ki wahi sab se baDe hain jo bhala chahte hain
ye zamin dije hamein kachche falak-paimai
hum hua chahte hain aab-e-KHala chahte hain
KHush karun kitnon ko kis kis ko banaun dushman
sare bhagwan meri pararthna chahte hain
dast-kash bhi rahe KHushudi-e-duniya se to kya
wahi kab KHush hai miyan jis ki raza chahte hain
KHud-farebi ki parastari-e-gum-karda-rahan
ki par-e-kah hain aur kah-ruba chahte hain
hum jahangir hain ek nur-e-jahan rakhte hain
us ki chaalen to nahin us ki ada chahte hain
KHidmat-e-sher-o-adab ka to hamein dawa hai
koi kya jaane ki taskin-e-ana chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.