han KHush hun ki is bazm mein gham-KHwar bahut hain
han KHush hun ki is bazm mein gham-KHwar bahut hain
Hamid Allahabadi
MORE BYHamid Allahabadi
haañ ḳhush huuñ ki is bazm meñ ġham-ḳhvār bahut haiñ
ġham-ḳhvār bhī aise jo pur-asrār bahut haiñ
chup rahne kī aadat ho to kyā kuchh nahīñ mumkin
iz.hār-e-sadāqat ke ḳharīdār bahut haiñ
is shahr-e-ināyāt kī tausīf kahāñ tak
saa.e haiñ bahut kam dar-o-dīvār bahut haiñ
hañs kar ke guzar jā.iye kāñTe hoñ ki patthar
kyoñ kahiye ki rāheñ ye dil-āzār bahut haiñ
miltī hai yahāñ bhiik gadā-e-rah-e-shab ko
kyūñkar na mile sāhab-e-īsār bahut haiñ
han KHush hun ki is bazm mein gham-KHwar bahut hain
gham-KHwar bhi aise jo pur-asrar bahut hain
chup rahne ki aadat ho to kya kuchh nahin mumkin
izhaar-e-sadaqat ke KHaridar bahut hain
is shahr-e-inayat ki tausif kahan tak
sae hain bahut kam dar-o-diwar bahut hain
hans kar ke guzar jaiye kanTe hon ki patthar
kyon kahiye ki rahen ye dil-azar bahut hain
milti hai yahan bhik gada-e-rah-e-shab ko
kyunkar na mile sahab-e-isar bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.