han kya kaha ki ghair se ulfat bhi kuchh nahin
han kya kaha ki ghair se ulfat bhi kuchh nahin
Faheemuddin Ahmad Faheem
MORE BYFaheemuddin Ahmad Faheem
haañ kyā kahā ki ġhair se ulfat bhī kuchh nahīñ
ye sach agar hai phir mujhe hujjat bhī kuchh nahīñ
shurb-e-mudām kī mujhe aadat bhī kuchh nahīñ
aur koī yuuñ pilā.e to nafrat bhī kuchh nahīñ
phir tum se aa ke milte bhī haiñ roz roz vo
ġhairoñ se tum ko rabt-o-mohabbat bhī kuchh nahīñ
honā jo thā vo ho chukā jaatī thī jaañ ga.ī
aane kī tere ab to zarūrat bhī kuchh nahīñ
dekhā jise hasīn bas us par phisal paḌe
sach kahte ho ki aisī tabī.at bhī kuchh nahīñ
nāseh na bak fuzūl chalā jā na muñh khulā
tū sun le mujh se terī haqīqat bhī kuchh nahīñ
har roz chheḌ chheḌ ke kuchh tazkira bhī hai
aur duḳht-e-raz pe shaiḳh kī niyyat bhī kuchh nahīñ
naale ko sirf muñh se nikalne kī der thī
dekhā to āsmāñ kī haqīqat bhī kuchh nahīñ
terī vajah se parda-e-māshūq faash ho
ai shohrat-e-junūñ tujhe ġhairat bhī kuchh nahīñ
itnā to hai ki tujh se vo kuchh ḳhush nahīñ 'fahīm'
yuuñ tere naam se unheñ nafrat bhī kuchh nahīñ
han kya kaha ki ghair se ulfat bhi kuchh nahin
ye sach agar hai phir mujhe hujjat bhi kuchh nahin
shurb-e-mudam ki mujhe aadat bhi kuchh nahin
aur koi yun pilae to nafrat bhi kuchh nahin
phir tum se aa ke milte bhi hain roz roz wo
ghairon se tum ko rabt-o-mohabbat bhi kuchh nahin
hona jo tha wo ho chuka jati thi jaan gai
aane ki tere ab to zarurat bhi kuchh nahin
dekha jise hasin bas us par phisal paDe
sach kahte ho ki aisi tabiat bhi kuchh nahin
naseh na bak fuzul chala ja na munh khula
tu sun le mujh se teri haqiqat bhi kuchh nahin
har roz chheD chheD ke kuchh tazkira bhi hai
aur duKHt-e-raz pe shaiKH ki niyyat bhi kuchh nahin
nale ko sirf munh se nikalne ki der thi
dekha to aasman ki haqiqat bhi kuchh nahin
teri wajah se parda-e-mashuq fash ho
ai shohrat-e-junun tujhe ghairat bhi kuchh nahin
itna to hai ki tujh se wo kuchh KHush nahin 'fahim'
yun tere nam se unhen nafrat bhi kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.