han tera mera fasla itna zarur tha
haañ terā merā fāsla itnā zarūr thā
dil ke qarīb ho ke nigāhoñ se duur thā
sach bolne kī kis meñ hai himmat jo sach kahe
sab jānte haiñ aadmī vo be-qusūr thā
us ne girā diyā thā magar maiñ sañbhal gayā
dīvāngī meñ bhī mujhe kitnā shu.ūr thā
maiñ apne ghar meñ aate hī TukḌoñ meñ baT gayā
kitnā thakā huā thā badan chūr-chūr thā
kyā pūchhte ho haal dil-e-nā-tavāñ kā ab
ik zarra us kī chashm-e-ināyat se tuur thā
manzar to āftāb se pahle bhī thā hasīñ
kaase meñ sub.h ke mirī rātoñ kā nuur thā
'sābir' ye kis kā raat ko dīdār ho gayā
TuuTā jo ḳhvāb mujh meñ ajab hī surūr thā
han tera mera fasla itna zarur tha
dil ke qarib ho ke nigahon se dur tha
sach bolne ki kis mein hai himmat jo sach kahe
sab jaante hain aadmi wo be-qusur tha
us ne gira diya tha magar main sanbhal gaya
diwangi mein bhi mujhe kitna shuur tha
main apne ghar mein aate hi TukDon mein baT gaya
kitna thaka hua tha badan chur-chur tha
kya puchhte ho haal dil-e-na-tawan ka ab
ek zarra us ki chashm-e-inayat se tur tha
manzar to aaftab se pahle bhi tha hasin
kase mein subh ke meri raaton ka nur tha
'sabir' ye kis ka raat ko didar ho gaya
TuTa jo KHwab mujh mein ajab hi surur tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.