han ye sach hai ki wo har dil mein makin hota hai
haañ ye sach hai ki vo har dil meñ makīñ hotā hai
ye ġhalat hai ki vo hotā hī nahīñ hotā hai
terā hī husn numāyāñ hai har ik insāñ meñ
har bashar meñ tire hone kā yaqīn hotā hai
aur baḌh jaatā hai kuchh shauq-e-talab rahrau kā
jab musāfir koī manzil ke qarīb hotā hai
husn kyā chiiz hai nazroñ kā fareb-e-rangīñ
dekhiye shauq se jis ko vo hasīñ hotā hai
chupke chupke jo huā kartī haiñ dil se bāteñ
dil ke parde meñ koī parda-nashīñ hotā hai
us ke dīdār kā har shaḳhs talabgār na ho
sāmne sab ke koī parda nahīñ hotā hai
jaise murjhā.ī huī sī ho kalī gulshan meñ
'ishq meñ aisā har ik qalb-e-hazīñ hotā hai
muñh se iqrār karo haañ to kaho bolo to
vasl kā vā'da ishāroñ se nahīñ hotā hai
shaah bhī haiñ isī duniyā meñ gadā bhī 'ārif'
koī saa.il to koī taḳht-nashīñ hotā hai
han ye sach hai ki wo har dil mein makin hota hai
ye ghalat hai ki wo hota hi nahin hota hai
tera hi husn numayan hai har ek insan mein
har bashar mein tere hone ka yaqin hota hai
aur baDh jata hai kuchh shauq-e-talab rahrau ka
jab musafir koi manzil ke qarib hota hai
husn kya chiz hai nazron ka fareb-e-rangin
dekhiye shauq se jis ko wo hasin hota hai
chupke chupke jo hua karti hain dil se baaten
dil ke parde mein koi parda-nashin hota hai
us ke didar ka har shaKHs talabgar na ho
samne sab ke koi parda nahin hota hai
jaise murjhai hui si ho kali gulshan mein
'ishq mein aisa har ek qalb-e-hazin hota hai
munh se iqrar karo han to kaho bolo to
wasl ka wa'da ishaaron se nahin hota hai
shah bhi hain isi duniya mein gada bhi 'arif'
koi sail to koi taKHt-nashin hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.