han ye taufiq kabhi mujhko KHuda deta tha
haañ ye taufīq kabhī mujh ko ḳhudā detā thā
nekiyāñ kar ke maiñ dariyā meñ bahā detā thā
thā usī bhiiḌ meñ vo merā shanāsā thā bahut
jo mujhe mujh se bichhaḌne kī duā detā thā
us kī nazroñ meñ thā jaltā huā manzar kaisā
ḳhud jalā.ī huī sham.oñ ko bujhā detā thā
aag meñ lipTā huā hadd-e-nazar tak sāhil
hausla Dūbne vāloñ kā baḌhā detā thā
yaad rahtā thā nigāhoñ ko har ik ḳhvāb magar
zehn har ḳhvāb kī tābīr bhulā detā thā
kyuuñ parindoñ ne daraḳhtoñ pe baserā na kiyā
kaun guzre hue mausam kā pata detā thā
han ye taufiq kabhi mujh ko KHuda deta tha
nekiyan kar ke main dariya mein baha deta tha
tha usi bhiD mein wo mera shanasa tha bahut
jo mujhe mujh se bichhaDne ki dua deta tha
us ki nazron mein tha jalta hua manzar kaisa
KHud jalai hui shamon ko bujha deta tha
aag mein lipTa hua hadd-e-nazar tak sahil
hausla Dubne walon ka baDha deta tha
yaad rahta tha nigahon ko har ek KHwab magar
zehn har KHwab ki tabir bhula deta tha
kyun parindon ne daraKHton pe basera na kiya
kaun guzre hue mausam ka pata deta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.