hanpte mausam taDaKHte TuTte din kaT gae
hāñpte mausam taḌaḳhte TūTte din kaT ga.e
kaT ga.e jalte pighalte khaulte din kaT ga.e
chhāñv kab aa.ī mayassar dasht-e-imkānāt meñ
bhāgte sāyoñ ke pīchhe bhāgte din kaT ga.e
chār-sū phaile the khāre pāniyoñ ke silsile
sāhiloñ se duur ubharte Dūbte din kaT ga.e
kab kisī ġhurfe se utrī koī nā-mastūr satr
harf-o-mā’nī kī kamandeñ Dālte din kaT ga.e
kaT ga.e kuchh roz-o-shab karte raqam āshob-e-'ahd
kuchh kaḌe vaqtoñ kī kaḌiyāñ kāTte din kaT ga.e
vo ḳhunuk-rut lauT kar aa.ī na phir bītīñ ruteñ
aag taptī sā'atoñ kī tāpte din kaT ga.e
zikr se ab fā.eda kyā yaar jaise bhī kaTe
sard sāñsoñ meñ siyāhī gholte din kaT ga.e
aaj tak sochā nahīñ thā ab ḳhayāl aane lagā
kin galī kūchoñ meñ phirte ghūmte din kaT ga.e
dard kī karvaT hai kyā jaane vo kyā jis ke 'bashīr'
be-ḳhayālī meñ hī sote jāgte din kaT ga.e
hanpte mausam taDaKHte TuTte din kaT gae
kaT gae jalte pighalte khaulte din kaT gae
chhanw kab aai mayassar dasht-e-imkanat mein
bhagte sayon ke pichhe bhagte din kaT gae
chaar-su phaile the khaare paniyon ke silsile
sahilon se dur ubharte Dubte din kaT gae
kab kisi ghurfe se utri koi na-mastur satr
harf-o-ma’ni ki kamanden Dalte din kaT gae
kaT gae kuchh roz-o-shab karte raqam aashob-e-'ahd
kuchh kaDe waqton ki kaDiyan kaTte din kaT gae
wo KHunuk-rut lauT kar aai na phir bitin ruten
aag tapti sa'aton ki tapte din kaT gae
zikr se ab faeda kya yar jaise bhi kaTe
sard sanson mein siyahi gholte din kaT gae
aaj tak socha nahin tha ab KHayal aane laga
kin gali kuchon mein phirte ghumte din kaT gae
dard ki karwaT hai kya jaane wo kya jis ke 'bashir'
be-KHayali mein hi sote jagte din kaT gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.