haar ka dil mein Dar zaruri tha
haar kā dil meñ Dar zarūrī thā
jītnā bhī magar zarūrī thā
terī izzat kā paas thā mujh ko
phone karnā magar zarūrī thā
rah-guzar ḳhār-zāroñ se thī bharī
saath meñ ham-safar zarūrī thā
maanā āvārgī thī qismat meñ
haañ magar ek ghar zarūrī thā
paañv ko ābloñ kī aadat hai
is liye bhī safar zarūrī thā
haar ka dil mein Dar zaruri tha
jitna bhi magar zaruri tha
teri izzat ka pas tha mujh ko
phone karna magar zaruri tha
rah-guzar KHar-zaron se thi bhari
sath mein ham-safar zaruri tha
mana aawargi thi qismat mein
han magar ek ghar zaruri tha
panw ko aablon ki aadat hai
is liye bhi safar zaruri tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.