hasil dawam kab hai bhala ab dawam ko
hāsil davām kab hai bhalā ab davām ko
ham ki taraste rahte haiñ un ke salām ko
nīlām ho rahā hai adab bhī adiib bhī
phailā.eñ shahr shahr meñ ab is payām ko
talvār kā vajūd hai talvār-zan ke saath
me.aar mat banā.iye ḳhālī niyām ko
be-shak ye baune ġhālib-e-daurāñ kaheñ tumheñ
maiñ jāntā huuñ ḳhuub tumhāre maqām ko
pahuñchī hai ab zamīr-faroshī uruuj par
jī chāhtā hai aag lagā duuñ kalām ko
muftī adab ke diin ke muftī se kab alag
kaise halāl karne lage haiñ harām ko
aarī jo adl se ho adālat se duur ho
dozaḳh rasīd kījiye aise imaam ko
e.azāz ab adab kā nahīñ chāhiye mujhe
rakhiye muaaf bahr-e-ḳhudā is ġhulām ko
ab naam par adab ke tijārat adab kī hai
'safdar' havā na dījiyegā intiqām ko
hasil dawam kab hai bhala ab dawam ko
hum ki taraste rahte hain un ke salam ko
nilam ho raha hai adab bhi adib bhi
phailaen shahr shahr mein ab is payam ko
talwar ka wajud hai talwar-zan ke sath
mear mat banaiye KHali niyam ko
be-shak ye baune ghaalib-e-dauran kahen tumhein
main jaanta hun KHub tumhaare maqam ko
pahunchi hai ab zamir-faroshi uruj par
ji chahta hai aag laga dun kalam ko
mufti adab ke din ke mufti se kab alag
kaise halal karne lage hain haram ko
aari jo adl se ho adalat se dur ho
dozaKH rasid kijiye aise imam ko
eazaz ab adab ka nahin chahiye mujhe
rakhiye muaf bahr-e-KHuda is ghulam ko
ab nam par adab ke tijarat adab ki hai
'safdar' hawa na dijiyega intiqam ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.