hasil-e-jaan maut hai aage safar kuchh bhi nahin
hāsil-e-jāñ maut hai aage safar kuchh bhī nahīñ
dhuñdh āñkheñ dhuñdh duniyā tā-nazar kuchh bhī nahīñ
har ta.alluq kā natīja lā-ta.alluq hai agar
zindagī phir tujh se paayā umr bhar kuchh bhī nahīñ
sabr himmat aas jugnū Thokareñ dushvāriyāñ
jab sabhī raḳht-e-safar haiñ to safar kuchh bhī nahīñ
duur mīloñ tak chalī hai mere qadmoñ ke tale
sach kahūñ qadmoñ se aage rahguzar kuchh bhī nahīñ
ishq meñ barbādiyoñ kā kyoñ tumheñ ilzām duuñ
sab mirī hī ġhalatiyāñ hai tere sar kuchh bhī nahīñ
aks-e-ruḳh terā hai shāmil har nazāre meñ mire
tere jalvoñ ke sivā merī nazar kuchh bhī nahīñ
band āñkheñ jab huī sab kuchh nazar aane lagā
is qadar ġhāfil huuñ goyā be-ḳhabar kuchh bhī nahīñ
duur nazroñ tak bichhā hai ik usī kā intizār
jis kī nazroñ meñ kisī kā muntazir kuchh bhī nahīñ
raat din kī gardisheñ aur tanhā tanhā zindagī
vaqt aisā hai shajar jis kā samar kuchh bhī nahīñ
kyā huā kyūñkar huā bejā savāloñ meñ huuñ gum
in savāloñ ke binā 'ulfat' magar kuchh bhī nahīñ
hasil-e-jaan maut hai aage safar kuchh bhi nahin
dhundh aankhen dhundh duniya ta-nazar kuchh bhi nahin
har talluq ka natija la-talluq hai agar
zindagi phir tujh se paya umr bhar kuchh bhi nahin
sabr himmat aas jugnu Thokaren dushwariyan
jab sabhi raKHt-e-safar hain to safar kuchh bhi nahin
dur milon tak chali hai mere qadmon ke tale
sach kahun qadmon se aage rahguzar kuchh bhi nahin
ishq mein barbaadiyon ka kyon tumhein ilzam dun
sab meri hi ghalatiyan hai tere sar kuchh bhi nahin
aks-e-ruKH tera hai shamil har nazare mein mere
tere jalwon ke siwa meri nazar kuchh bhi nahin
band aankhen jab hui sab kuchh nazar aane laga
is qadar ghafil hun goya be-KHabar kuchh bhi nahin
dur nazron tak bichha hai ek usi ka intizar
jis ki nazron mein kisi ka muntazir kuchh bhi nahin
raat din ki gardishen aur tanha tanha zindagi
waqt aisa hai shajar jis ka samar kuchh bhi nahin
kya hua kyunkar hua beja sawalon mein hun gum
in sawalon ke bina 'ulfat' magar kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.