hasil-e-josh-e-junun be-sar-o-saman hona
hāsil-e-josh-e-junūñ be-sar-o-sāmāñ honā
dasht-e-pur-ḳhār meñ ik paikar-e-uryāñ honā
raunaq-e-ishq hai ḳhāk-e-dar-e-jānāñ honā
zīnat-e-husn hai zulfoñ kā pareshāñ honā
ishq meñ chashm kī me.arāj hai giryāñ honā
rif.at-e-ashk hai zeb-e-sar-e-dāmāñ honā
lazzat-e-dard hai begāna-e-darmāñ honā
zindagī zaḳhm kī hai rehn-e-namak-dāñ honā
jannat-e-zauq-e-nazar hai dam-e-ārā.ish-e-husn
zulf-o-shāna kā baham dast-o-garebāñ honā
maut duniyā meñ hai ehsāñ-talabī se behtar
dekh de dard na minnat-kash-e-darmāñ honā
hai do-rangī-e-zamāna kī mujassam tasvīr
phuul kā pairahan-e-barg se uryāñ honā
uf tire jalva-e-bebāk ke aage zālim
chaak dāmān-e-ḳhirad tā-ba-garebāñ honā
shaġhl āñkhoñ kā hai pahlū meñ jigar ḳhuuñ karnā
khel palkoñ kā hai nashtar-ba-rag-e-jāñ honā
vo yakāyak dam-e-āḳhir mirā hichkī lenā
vo achānak tirī zulfoñ kā pareshāñ honā
vo tirā josh meñ añgḌā.ī adā se lenā
vo mirā ḳhāk-ba-sar chāk-garebāñ honā
vo tirā ek jhalak mujh ko dikhā kar chhupnā
vo mire dīda-e-pur-shauq kā hairāñ honā
baal bikhrā.e tirā bistar-e-gul par sonā
chāñdnī kā vo nisār-e-ruḳh-e-tābāñ honā
kaalī zulfoñ kā bikharnā tire ruḳhsāroñ par
mere shīrāza-e-ḳhātir kā pareshāñ honā
ek duniyā-e-tamannā thā tire shauq meñ dil
ḳhuuñ rulātā hai ab is ghar kā bayābāñ honā
uTh chale jalva-gah-e-nāz ke rangīñ parde
jazba-e-shauq zarā silsila-jumbāñ honā
ai 'valī' chain tah-e-qabr bhī degā na mujhe
mere marne pe sitamgar kā pashemāñ honā
hasil-e-josh-e-junun be-sar-o-saman hona
dasht-e-pur-KHar mein ek paikar-e-uryan hona
raunaq-e-ishq hai KHak-e-dar-e-jaanan hona
zinat-e-husn hai zulfon ka pareshan hona
ishq mein chashm ki mearaj hai giryan hona
rifat-e-ashk hai zeb-e-sar-e-daman hona
lazzat-e-dard hai begana-e-darman hona
zindagi zaKHm ki hai rehn-e-namak-dan hona
jannat-e-zauq-e-nazar hai dam-e-araish-e-husn
zulf-o-shana ka baham dast-o-gareban hona
maut duniya mein hai ehsan-talabi se behtar
dekh de dard na minnat-kash-e-darman hona
hai do-rangi-e-zamana ki mujassam taswir
phul ka pairahan-e-barg se uryan hona
uf tere jalwa-e-bebak ke aage zalim
chaak daman-e-KHirad ta-ba-gareban hona
shaghl aankhon ka hai pahlu mein jigar KHun karna
khel palkon ka hai nashtar-ba-rag-e-jaan hona
wo yakayak dam-e-aKHir mera hichki lena
wo achanak teri zulfon ka pareshan hona
wo tera josh mein angDai ada se lena
wo mera KHak-ba-sar chaak-gareban hona
wo tera ek jhalak mujh ko dikha kar chhupna
wo mere dida-e-pur-shauq ka hairan hona
baal bikhrae tera bistar-e-gul par sona
chandni ka wo nisar-e-ruKH-e-taban hona
kali zulfon ka bikharna tere ruKHsaron par
mere shiraaza-e-KHatir ka pareshan hona
ek duniya-e-tamanna tha tere shauq mein dil
KHun rulata hai ab is ghar ka bayaban hona
uTh chale jalwa-gah-e-naz ke rangin parde
jazba-e-shauq zara silsila-jumban hona
ai 'wali' chain tah-e-qabr bhi dega na mujhe
mere marne pe sitamgar ka pasheman hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.