Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasil hamein bhi qurbaten thi aap ki kabhi

Pandit Vidya Rattan Asi

hasil hamein bhi qurbaten thi aap ki kabhi

Pandit Vidya Rattan Asi

MORE BYPandit Vidya Rattan Asi

    hāsil hameñ bhī qurbateñ thī aap kabhī

    ya.anī hameñ bhī raas thī ye zindagī kabhī

    ham bhī ba-nām-e-dostī khāte rahe fareb

    ham par bhī thā ye ālam-e-dīvāngī kabhī

    ham bhī the kāmyāb mohabbat meñ dosto

    ham par bhī ya.anī vo nigah-e-lutf thī kabhī

    pahroñ kisī yaad meñ kho.e rahe haiñ ham

    ġham-hā-e-zindagī se jo fursat milī kabhī

    ham aur un se shikva-e-zor-e-sitam ġhalat

    majbūr ho ga.e haiñ so vo bhī kabhī kabhī

    un se bichhaḌ ke umr-bhar dete rahe fareb

    ham zindagī ko aur hameñ zindagī kabhī

    vo aur mehrbān mire hāl-e-zār par

    kyā kyā kamāl karte haiñ ye log bhī kabhī

    apnī tabāhiyoñ uḌāyā hai ḳhud mazāq

    ḳhud qahqahe lagā.e haiñ ham ne kabhī kabhī

    ḳhud se farār chāhne vaale mujhe bhī dekh

    har saḳhtī-e-hayāt sahī uf na kabhī

    māyūs is qadar bhī nahīñ zindagī se ham

    zinda rahe to raas bhī aa jā.egī kabhī

    'āsī' tamām umr rahīñ āh-o-zāriyāñ

    dekhī na tere hoñToñ pe ham ne hañsī kabhī

    hasil hamein bhi qurbaten thi aap ki kabhi

    yani hamein bhi ras thi ye zindagi kabhi

    hum bhi ba-nam-e-dosti khate rahe fareb

    hum par bhi tha ye aalam-e-diwangi kabhi

    hum bhi the kaamyab mohabbat mein dosto

    hum par bhi yani wo nigah-e-lutf thi kabhi

    pahron kisi ki yaad mein khoe rahe hain hum

    gham-ha-e-zindagi se jo fursat mili kabhi

    hum aur un se shikwa-e-zor-e-sitam ghalat

    majbur ho gae hain so wo bhi kabhi kabhi

    un se bichhaD ke umr-bhar dete rahe fareb

    hum zindagi ko aur hamein zindagi kabhi

    wo aur mehrban mere haal-e-zar par

    kya kya kamal karte hain ye log bhi kabhi

    apni tabahiyon ka uDaya hai KHud mazaq

    KHud qahqahe lagae hain hum ne kabhi kabhi

    KHud se farar chahne wale mujhe bhi dekh

    har saKHti-e-hayat sahi uf na ki kabhi

    mayus is qadar bhi nahin zindagi se hum

    zinda rahe to ras bhi aa jaegi kabhi

    'asi' tamam umr rahin aah-o-zariyan

    dekhi na tere honTon pe hum ne hansi kabhi

    Source :
    • Book : زندگی کے مارے لوگ (Pg. 88)
    • Author : ودیا رتن آسی
    • Publication : چیتن پرکاشن،پنجابی بھون،لدھیانہ (2017)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now