Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasil kisi se naqd-e-himayat na kar saka

Ghulam Husain Sajid

hasil kisi se naqd-e-himayat na kar saka

Ghulam Husain Sajid

MORE BYGhulam Husain Sajid

    hāsil kisī se naqd-e-himāyat na kar sakā

    maiñ apnī saltanat pe hukūmat na kar sakā

    har rañg meñ raqīb-e-zar-e-nām-o-nañg huuñ

    maiñ vo huuñ jo kisī se mohabbat na kar sakā

    ghultā rahā hai merī ragoñ meñ bhī koī zahr

    lekin maiñ is dayār se hijrat na kar sakā

    paḌtā nahīñ kisī ke bichhaḌne se koī farq

    maiñ us ko sach batāne zahmat na kar sakā

    aayā jo us zikr to maiñ guñg rah gayā

    aur aa.ine se us shikāyat na kar sakā

    baaqī rakhī hai mere lahū ne matā-e-hosh

    maiñ ne vafā to thī nihāyat na kar sakā

    ab bhī shagufta nuur se hai us ko rabt-e-ḳhās

    vo jo mire charāġh izzat na kar sakā

    har-chand us gulāb pe tashbīb khul ga.ī

    is par bhī maiñ gurez himmat na kar sakā

    'sājid' qafas tīliyoñ ko toḌ kar bhī maiñ

    is dasht-e-be-kanār meñ vahshat na kar sakā

    hasil kisi se naqd-e-himayat na kar saka

    main apni saltanat pe hukumat na kar saka

    har rang mein raqib-e-zar-e-nam-o-nang hun

    main wo hun jo kisi se mohabbat na kar saka

    ghulta raha hai meri ragon mein bhi koi zahr

    lekin main is dayar se hijrat na kar saka

    paDta nahin kisi ke bichhaDne se koi farq

    main us ko sach batane ki zahmat na kar saka

    aaya jo us ka zikr to main gung rah gaya

    aur aaine se us ki shikayat na kar saka

    baqi rakhi hai mere lahu ne mata-e-hosh

    main ne wafa to ki thi nihayat na kar saka

    ab bhi shagufta nur se hai us ko rabt-e-KHas

    wo jo mere charagh ki izzat na kar saka

    har-chand us gulab pe tashbib khul gai

    is par bhi main gurez ki himmat na kar saka

    'sajid' qafas ki tiliyon ko toD kar bhi main

    is dasht-e-be-kanar mein wahshat na kar saka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now