hath aisa dikha diya mujhko
haath aisā dikhā diyā mujh ko
mere qad se ghaTā diyā mujh ko
haa.e kitnā hasīn sapnā thā
haa.e kis ne jagā diyā mujh ko
rotī āñkhoñ se muskurā denā
is adā ne rulā diyā mujh ko
mat karo tum vafā vafā sāhib
is vafā ne hai kyā diyā mujh ko
ek shaitān thā tirā bāġhī
tū ne us se bhiḌā diyā mujh ko
terī duniyā kī dilkashī tauba
kaam apnā bhulā diyā mujh ko
hath aisa dikha diya mujh ko
mere qad se ghaTa diya mujh ko
hae kitna hasin sapna tha
hae kis ne jaga diya mujh ko
roti aankhon se muskura dena
is ada ne rula diya mujh ko
mat karo tum wafa wafa sahib
is wafa ne hai kya diya mujh ko
ek shaitan tha tera baghi
tu ne us se bhiDa diya mujh ko
teri duniya ki dilkashi tauba
kaam apna bhula diya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.