hath hathon mein Dal ke rakhiye
haath hāthoñ meñ Daal ke rakhiye
dostoñ ko sañbhāl ke rakhiye
sard mausam hai barf-bārī bhī
ḳhuun thoḌā ubaal ke rakhiye
chaaT jā.egī aap kī azmat
jeTh apnī sañbhāl ke rakhiye
aaj ke daur kā nayā fashion
sab ke pagḌī uchhāl ke rakhiye
aap ke dostoñ meñ dushman bhī
har qadam dekh-bhāl ke rakhiye
zindagī bhī unhīñ se hai raunaq
ḳhvāb āñkhoñ meñ paal ke rakhiye
aap kā dil rahe bhale kaalā
'shād' chehra ujaal ke rakhiye
hath hathon mein Dal ke rakhiye
doston ko sanbhaal ke rakhiye
sard mausam hai barf-bari bhi
KHun thoDa ubaal ke rakhiye
chaT jaegi aap ki azmat
jeTh apni sanbhaal ke rakhiye
aaj ke daur ka naya fashion
sab ke pagDi uchhaal ke rakhiye
aap ke doston mein dushman bhi
har qadam dekh-bhaal ke rakhiye
zindagi bhi unhin se hai raunaq
KHwab aankhon mein pal ke rakhiye
aap ka dil rahe bhale kala
'shad' chehra ujal ke rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.