hath kaTte hain jahan sina-o-sar khulte hain
haath kaTte haiñ jahāñ sīna-o-sar khulte haiñ
aise māhaul meñ ham ahl-e-hunar khulte haiñ
din nikaltā ho jahāñ ḳhauf kā neza ban kar
aisī bastī meñ kahāñ raat ko dar khulte haiñ
kaise aaseb kā saaya hai mire raste par
gard chhaTtī hai na asrār-e-safar khulte haiñ
ham ne ik umr guzārī hai inhī ḳhvāboñ meñ
ab qafas TūTtā hai aur abhī par khulte haiñ
ruḳh pe gulshan ke khuleñ jis ke darīche aksar
sū-e-sahrā bhī usī shahr ke dar khulte haiñ
jin zamīnoñ pe khare log basā leñ ḳhud ko
rāste sail-e-balā ke bhī udhar khulte haiñ
ahl-e-sāhil se kaho kashf kī sūrat 'razmī'
mauj khultī hai kabhī ham pe bhañvar khulte haiñ
hath kaTte hain jahan sina-o-sar khulte hain
aise mahaul mein hum ahl-e-hunar khulte hain
din nikalta ho jahan KHauf ka neza ban kar
aisi basti mein kahan raat ko dar khulte hain
kaise aaseb ka saya hai mere raste par
gard chhaTti hai na asrar-e-safar khulte hain
hum ne ek umr guzari hai inhi KHwabon mein
ab qafas TuTta hai aur abhi par khulte hain
ruKH pe gulshan ke khulen jis ke dariche aksar
su-e-sahra bhi usi shahr ke dar khulte hain
jin zaminon pe khare log basa len KHud ko
raste sail-e-bala ke bhi udhar khulte hain
ahl-e-sahil se kaho kashf ki surat 'razmi'
mauj khulti hai kabhi hum pe bhanwar khulte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.