hath ko chahiye hai hath ek aur
haath ko chāhiye hai haath ik aur
sāmne hijr kī hai raat ik aur
maiñ tujhe kab kā mil gayā hotā
aa ga.ī rāste meñ zaat ik aur
maiñ ne dekhī haiñ surma.ī āñkheñ
maiñ ne dekhī hai kā.enāt ik aur
rakh diye us ne phuul rauzan meñ
ban ga.ī vaj.h-e-iltifāt ik aur
tum faqat dost hī nahīñ mere
hai ta'alluq tumhāre saath ik aur
silsila munqata' huā 'qāsim'
rah ga.ī darmiyān baat ik aur
hath ko chahiye hai hath ek aur
samne hijr ki hai raat ek aur
main tujhe kab ka mil gaya hota
aa gai raste mein zat ek aur
main ne dekhi hain surmai aankhen
main ne dekhi hai kaenat ek aur
rakh diye us ne phul rauzan mein
ban gai wajh-e-iltifat ek aur
tum faqat dost hi nahin mere
hai ta'alluq tumhaare sath ek aur
silsila munqata' hua 'qasim'
rah gai darmiyan baat ek aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.