hath kyunkar mila nahin paya
haath kyūñkar milā nahīñ paayā
jabki sochā thā jā nahīñ paayā
der tak maiñ khaḌā rahā dar par
tum ne sochā ki aa nahīñ paayā
rahguzar meñ to saath hai jaise
tujh ko āḳhir kahāñ nahīñ paayā
maiñ ne tum ko to pā liyā lekin
maiñ ne ab tak ḳhudā nahīñ paayā
bahut paayā bhī to zamāne meñ
kuchh bhī tere sivā nahīñ paayā
maiñ ne sochā ki sab batā.ūñgā
par milā to batā nahīñ paayā
ḳhuub chāhā ki āzmā.ūñ bhī
par kabhī aazmā nahīñ paayā
tīrgī saath hī rahī har dam
sham.a koī jalā nahīñ paayā
ek hī bhuul thī magar ab tak
kis ne kis ne sazā nahīñ paayā
ho gayā huuñ judā bhale tum se
tum ko ḳhud se judā nahīñ paayā
hath kyunkar mila nahin paya
jabki socha tha ja nahin paya
der tak main khaDa raha dar par
tum ne socha ki aa nahin paya
rahguzar mein to sath hai jaise
tujh ko aaKHir kahan nahin paya
main ne tum ko to pa liya lekin
main ne ab tak KHuda nahin paya
bahut paya bhi to zamane mein
kuchh bhi tere siwa nahin paya
main ne socha ki sab bataunga
par mila to bata nahin paya
KHub chaha ki aazmaun bhi
par kabhi aazma nahin paya
tirgi sath hi rahi har dam
shama koi jala nahin paya
ek hi bhul thi magar ab tak
kis ne kis ne saza nahin paya
ho gaya hun juda bhale tum se
tum ko KHud se juda nahin paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.