hath mein apne abhi tak ek saghar hi to hai
haath meñ apne abhī tak ek sāġhar hī to hai
jis ko sab kahte haiñ mai-ḳhāna vo andar hī to hai
daam meñ taa.ir ko le jaatī hai daane kī talāsh
phir bhī mazlūmī-o-mahrūmī muqaddar hī to hai
kaisī kaisī koshisheñ kar leñ miyān-e-jañg bhī
mard-e-maidāñ jo banā hai vo sikandar hī to hai
apne ḳhāliq kī atā par naaz honā chāhiye
jo hasad rakhte haiñ un kā haal abtar hī to hai
ḳhaak ke zarre chamakte haiñ ziyā-e-nūr se
āsmāñ par jo hai vo ḳhurshīd-e-ḳhāvar hī to hai
chhoḌiye buġhz-o-adāvat to samajh meñ aa.e kuchh
jo 'vasīya' ho rahā hai tujh ko bāvar hī to hai
hath mein apne abhi tak ek saghar hi to hai
jis ko sab kahte hain mai-KHana wo andar hi to hai
dam mein tair ko le jati hai dane ki talash
phir bhi mazlumi-o-mahrumi muqaddar hi to hai
kaisi kaisi koshishen kar len miyan-e-jang bhi
mard-e-maidan jo bana hai wo sikandar hi to hai
apne KHaliq ki ata par naz hona chahiye
jo hasad rakhte hain un ka haal abtar hi to hai
KHak ke zarre chamakte hain ziya-e-nur se
aasman par jo hai wo KHurshid-e-KHawar hi to hai
chhoDiye bughz-o-adawat to samajh mein aae kuchh
jo 'wasiya' ho raha hai tujh ko bawar hi to hai
- Book : Dana Dana Khirman (Pg. 37)
- Author : Fatima wasia Jaisi
- Publication : Fatima wasia Jaisi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.