hath mein gar asa nahin hota
haath meñ gar asā nahīñ hotā
bahr meñ rāsta nahīñ hotā
niyyateñ paak agar nahīñ hoñ to
koī sajda adā nahīñ hotā
chaar nazreñ agar nahīñ hotīñ
dard-e-dil yuuñ baḌhā nahīñ hotā
haar jaatā agar maiñ ye baazī
yaar mujh se ḳhafā nahīñ hotā
tum gar apnā ziyāñ nahīñ karte
dūsroñ kā bhalā nahīñ hotā
ishq kī aag gar nahīñ lagtī
is qadar dil jalā nahīñ hotā
ham sañvarne ko bhī taras jaate
rū-ba-rū aa.ina nahīñ hotā
bech dete zamīr apnā jo
zulm mujh par ravā nahīñ hotā
tum adan meñ hī rahte ai 'sārim'
tum se gar vo ḳhafā nahīñ hotā
hath mein gar asa nahin hota
bahr mein rasta nahin hota
niyyaten pak agar nahin hon to
koi sajda ada nahin hota
chaar nazren agar nahin hotin
dard-e-dil yun baDha nahin hota
haar jata agar main ye bazi
yar mujh se KHafa nahin hota
tum gar apna ziyan nahin karte
dusron ka bhala nahin hota
ishq ki aag gar nahin lagti
is qadar dil jala nahin hota
hum sanwarne ko bhi taras jate
ru-ba-ru aaina nahin hota
bech dete zamir apna jo
zulm mujh par rawa nahin hota
tum adan mein hi rahte ai 'sarim'
tum se gar wo KHafa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.