hath mein taswir le kar us sitam-ijad ki
haath meñ tasvīr le kar us sitam-ījād kī
dil meñ ik mash'al jalā.ī ham ne us kī yaad kī
jaise jaise dekhtā huuñ us but-e-nau-ḳhez ko
hasrateñ baḌhtī hī jaatī haiñ dil-e-nāshād kī
ik nazar terī ne luuTā ziist kā sāmāñ mirā
ik tabassum ne tire duniyā-e-dil barbād kī
ik na samjhī ik na maanī ik nazar saanī na kī
laakh piiTā dil-jigar fariyād par fariyād kī
kar diyā pāmāl pā-e-nāz se madfan mirā
ik hasīñ ne is tarah miTTī mirī barbād kī
mere naale sun ke 'arsh-o-farsh bhī hilne lage
kaañp uThī duniyā jo maiñ ne hijr meñ fariyād kī
dāstān-e-ġham mirī sun kar vo farmāne lage
jhuuT sī lagtī haiñ ye bāteñ tirī rūdād kī
ham agar qaid-e-qafas meñ haiñ to is kā ġham nahīñ
ham pe jo guzre so guzre ḳhair ho sayyād kī
jaate jaate is taraf se bhī guzarte jā.iye
rah-guzar se duur kuchh turbat nahīñ 'hammād' kī
hath mein taswir le kar us sitam-ijad ki
dil mein ek mash'al jalai hum ne us ki yaad ki
jaise jaise dekhta hun us but-e-nau-KHez ko
hasraten baDhti hi jati hain dil-e-nashad ki
ek nazar teri ne luTa zist ka saman mera
ek tabassum ne tere duniya-e-dil barbaad ki
ek na samjhi ek na mani ek nazar sani na ki
lakh piTa dil-jigar fariyaad par fariyaad ki
kar diya pamal pa-e-naz se madfan mera
ek hasin ne is tarah miTTi meri barbaad ki
mere nale sun ke 'arsh-o-farsh bhi hilne lage
kanp uThi duniya jo main ne hijr mein fariyaad ki
dastan-e-gham meri sun kar wo farmane lage
jhuT si lagti hain ye baaten teri rudad ki
hum agar qaid-e-qafas mein hain to is ka gham nahin
hum pe jo guzre so guzre KHair ho sayyaad ki
jate jate is taraf se bhi guzarte jaiye
rah-guzar se dur kuchh turbat nahin 'hammad' ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.