hath mere hain bandhe hath milaun kaise
haath mere haiñ bañdhe haath milā.ūñ kaise
paas ho kar bhī tere paas maiñ aa.uuñ kaise
mere andar bhī machaltā hai samundar lekin
tere hoñToñ kī abhī pyaas bujhā.ūñ kaise
vaqt ne Daal dī zanjīr mere pairoñ meñ
dauḌ kar tujh ko gale yaar lagā.ūñ kaise
zahr-ālūda mere haath hue haiñ hamdam
pyaar kā jaam bhalā tujh ko pilā.ūñ kaise
vaqt come aur mere sāmne ye lambā safar
terī zulfoñ meñ hasīñ shaam bitā.ūñ kaise
sāmne rahtī hai mahbūb kī sūrat mere
yā-ḳhudā sajde meñ sar apnā jhukā.ūñ kaise
bojh sar par hai farā.ez kā 'anīs' ab mere
phir batā sar pe tere naaz uThā.ūñ kaise
hath mere hain bandhe hath milaun kaise
pas ho kar bhi tere pas main aaun kaise
mere andar bhi machalta hai samundar lekin
tere honTon ki abhi pyas bujhaun kaise
waqt ne Dal di zanjir mere pairon mein
dauD kar tujh ko gale yar lagaun kaise
zahr-aluda mere hath hue hain hamdam
pyar ka jam bhala tujh ko pilaun kaise
waqt come aur mere samne ye lamba safar
teri zulfon mein hasin sham bitaun kaise
samne rahti hai mahbub ki surat mere
ya-KHuda sajde mein sar apna jhukaun kaise
bojh sar par hai faraez ka 'anis' ab mere
phir bata sar pe tere naz uThaun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.