hath raazi hun milane ke liye
haath raazī huuñ milāne ke liye
ranjisheñ dil se miTāne ke liye
us ko tanhā.ī rulā.egī bahut
jo hai masrūf zamāne ke liye
apnī nazroñ meñ gire haiñ ham ḳhud
kaun aa.egā uThāne ke liye
dil to kartā hai bahānoñ kī talāsh
ḳhud ko be-dāġh batāne ke liye
zāviye kuchh to na.e lā.eñge
an-chhue ham haiñ zamāne ke liye
aa.ina dekh ke aanā yaaro
aa.ina mujh ko dikhāne ke liye
us ne dekhā mire dil kī jānib
ek mahfūz Thikāne ke liye
'faiz' be-faiz na samjho is ko
haiñ bahut kaam dīvāne ke liye
hath raazi hun milane ke liye
ranjishen dil se miTane ke liye
us ko tanhai rulaegi bahut
jo hai masruf zamane ke liye
apni nazron mein gire hain hum KHud
kaun aaega uThane ke liye
dil to karta hai bahanon ki talash
KHud ko be-dagh batane ke liye
zawiye kuchh to nae laenge
an-chhue hum hain zamane ke liye
aaina dekh ke aana yaro
aaina mujh ko dikhane ke liye
us ne dekha mere dil ki jaanib
ek mahfuz Thikane ke liye
'faiz' be-faiz na samjho is ko
hain bahut kaam diwane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.