hath rakhta nahin zindan bhi aa jae agar
haath rakhtā nahīñ zindān bhī aa jaa.e agar
chor ke sāmne qur.ān bhī aa jaa.e agar
tajraba ho chukā insāñ se nimaTne kā mujhe
ab to dil meñ koī haivān bhī aa jaa.e agar
ḳhushbueñ qaid nahīñ hoñgī kisī bartan meñ
peḌ kī shāḳh pe gul-dān bhī aa jaa.e agar
kashtiyoñ vāloñ ko tairākī kā fan aatā hai
rāste meñ kahīñ tūfān bhī aa jaa.e agar
peḌ ko farq nahīñ paḌtā kisī patthar se
kyā karegā tirā dīvān bhī aa jaa.e agar
terī yādeñ bhī tire saath mire dil meñ rukeñ
ek hī Dabbe meñ sāmān bhī aa jaa.e agar
hath rakhta nahin zindan bhi aa jae agar
chor ke samne quran bhi aa jae agar
tajraba ho chuka insan se nimaTne ka mujhe
ab to dil mein koi haiwan bhi aa jae agar
KHushbuen qaid nahin hongi kisi bartan mein
peD ki shaKH pe gul-dan bhi aa jae agar
kashtiyon walon ko tairaki ka fan aata hai
raste mein kahin tufan bhi aa jae agar
peD ko farq nahin paDta kisi patthar se
kya karega tera diwan bhi aa jae agar
teri yaaden bhi tere sath mere dil mein ruken
ek hi Dabbe mein saman bhi aa jae agar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.