hath rakkho yahin udasi hai
haath rakkho yahīñ udāsī hai
ye mirā dil nahīñ udāsī hai
ibtidā meñ tū itnā ḳhush mat ho
mujh meñ aage kahīñ udāsī hai
tū bhī utnā nahīñ qarīb mire
jitnī dil ke qarīñ udāsī hai
dekh us husn-e-sogvār taraf
dekh kitnī hasīñ udāsī hai
is pe qasr-e-ḳhushī na Thahregā
mere dil kī zamīñ udāsī hai
ranj-o-bahjat to baa'd ke haiñ gumāñ
merā pahlā yaqīñ udāsī hai
aañkh yā phailtā huā kājal
shaam yā surmagīñ udāsī hai
tum udāsī ko dekh sakte ho
maiñ jahāñ huuñ vahīñ udāsī hai
hath rakkho yahin udasi hai
ye mera dil nahin udasi hai
ibtida mein tu itna KHush mat ho
mujh mein aage kahin udasi hai
tu bhi utna nahin qarib mere
jitni dil ke qarin udasi hai
dekh us husn-e-sogwar taraf
dekh kitni hasin udasi hai
is pe qasr-e-KHushi na Thahrega
mere dil ki zamin udasi hai
ranj-o-bahjat to ba'd ke hain guman
mera pahla yaqin udasi hai
aankh ya phailta hua kajal
sham ya surmagin udasi hai
tum udasi ko dekh sakte ho
main jahan hun wahin udasi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.