hath se aaKHir chhuT paDa patthar jo uThaya tha
haath se āḳhir chhūT paḌā patthar jo uThāyā thā
kyā kartā mujrim bhī to ḳhud apnā saayā thā
aisā hotā kaash kahīñ kuchh rañg bhī mil jaate
us ne mere ḳhvāboñ kā ḳhāka to banāyā thā
ab tū bhī bāhar aa jā yuuñ jism meñ chhupnā kyā
parda hī karnā thā to kyuuñ mujh ko bulāyā thā
aaj ke mausam se be-sudh kuchh log kafan chehra
ab tak sahme baiThe haiñ tūfān kal aayā thā
jī chāhe to aur bhī ruk le palkoñ kī chhāñv meñ
maiñ ne to tujh ko vaqt kā bas ehsās dilāyā thā
roz savere vīrāna bachtā hai 'farāz' āḳhir
ham ne raat bhī ḳhvāboñ meñ ik shahr sajāyā thā
hath se aaKHir chhuT paDa patthar jo uThaya tha
kya karta mujrim bhi to KHud apna saya tha
aisa hota kash kahin kuchh rang bhi mil jate
us ne mere KHwabon ka KHaka to banaya tha
ab tu bhi bahar aa ja yun jism mein chhupna kya
parda hi karna tha to kyun mujh ko bulaya tha
aaj ke mausam se be-sudh kuchh log kafan chehra
ab tak sahme baiThe hain tufan kal aaya tha
ji chahe to aur bhi ruk le palkon ki chhanw mein
main ne to tujh ko waqt ka bas ehsas dilaya tha
roz sawere virana bachta hai 'faraaz' aaKHir
hum ne raat bhi KHwabon mein ek shahr sajaya tha
- Book : shab khuun (44) (rekhta website) (Pg. 52)
- Edition : 1970
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.