hath the raushnai mein Dube hue aur likhne ko koi ibarat na thi
![Rajinder Manchanda Bani Rajinder Manchanda Bani](https://rekhta.pc.cdn.bitgravity.com/Images/Shayar/round/rajinder-manchanda-bani.png)
hath the raushnai mein Dube hue aur likhne ko koi ibarat na thi
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
haath the raushnā.ī meñ Duube hue aur likhne ko koī 'ibārat na thī
zehn meñ kuchh lakīreñ thiiñ ḳhāka na thā kuchh nishāñ the nazar meñ 'alāmat na thī
zard patte ki āgāh-e-taqdīr the ek zaa.il ta'alluq kī tasvīr the
shāḳh se sab ko honā thā āḳhir judā aisī andhī havā kī zarūrat na thī
ik rifāqat thī zahrīlī hotī huī rāsta muntazir ḳhud dorāhe kā thā
phir vo ik dūsre se judā ho ga.e donoñ chup the ki donoñ ko hairat na thī
ek ārāsta ghar meñ thā kab se maiñ ek sad-barg manzar meñ thā kab se maiñ
merī ḳhātir thiiñ kyā kyā hunar-kāriyāñ ik nazar dekhne kī bhī fursat na thī
aaj rakkhā hai lamha tire haath par lams-e-avval kī lazzat ko mahfūz kar
kal na kahnā falak ḳhush-ta’āvun na thā kal na kahnā zamīñ ḳhūb-sūrat na thī
kitnā paanī bahā le ga.ī hai nadī kitne manzar uḌā le ga.ī hai havā
ik ḳhazāna ki ab tak na ḳhālī huā ik ziyāñ thā ki jis kī shikāyat na thī
ek ik lafz ke sīna-e-zard se fasl-e-sad-rang-e-mā'nī ugānā paḌī
apnī taqdīr meñ koī virsa na thā naam apne koī bhī vasiyyat na thī
hath the raushnai mein Dube hue aur likhne ko koi 'ibarat na thi
zehn mein kuchh lakiren thin KHaka na tha kuchh nishan the nazar mein 'alamat na thi
zard patte ki aagah-e-taqdir the ek zail ta'alluq ki taswir the
shaKH se sab ko hona tha aaKHir juda aisi andhi hawa ki zarurat na thi
ek rifaqat thi zahrili hoti hui rasta muntazir KHud dorahe ka tha
phir wo ek dusre se juda ho gae donon chup the ki donon ko hairat na thi
ek aarasta ghar mein tha kab se main ek sad-barg manzar mein tha kab se main
meri KHatir thin kya kya hunar-kariyan ek nazar dekhne ki bhi fursat na thi
aaj rakkha hai lamha tere hath par lams-e-awwal ki lazzat ko mahfuz kar
kal na kahna falak KHush-ta’awun na tha kal na kahna zamin KHub-surat na thi
kitna pani baha le gai hai nadi kitne manzar uDa le gai hai hawa
ek KHazana ki ab tak na KHali hua ek ziyan tha ki jis ki shikayat na thi
ek ek lafz ke sina-e-zard se fasl-e-sad-rang-e-ma'ni ugana paDi
apni taqdir mein koi wirsa na tha nam apne koi bhi wasiyyat na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.