hath uske hain aur dua main hun
haath us ke haiñ aur du'ā maiñ huuñ
ye nahīñ kah rahā ḳhudā maiñ huuñ
achchhā to raat tum the pahlū meñ
maiñ ne samjhā ki dūsrā maiñ huuñ
koī rahbar ho koī rahzan ho
qāfila vo hai rāsta maiñ huuñ
kārobār-e-sukūn jaarī hai
chhīntā vo hai māñgtā maiñ huuñ
saare dariyā usī kī jānib haiñ
tairtā vo hai Dūbtā maiñ huuñ
bhiiḌ lag jaatī hai marīzoñ kī
chārāgar vo hai aur davā maiñ huuñ
taar aise juḌe haiñ āñkhoñ ke
sochtā vo hai boltā maiñ huuñ
chhap rahī hai abhī kitāb-e-dil
sar-varaq vo hai hāshiya maiñ huuñ
hath us ke hain aur du'a main hun
ye nahin kah raha KHuda main hun
achchha to raat tum the pahlu mein
main ne samjha ki dusra main hun
koi rahbar ho koi rahzan ho
qafila wo hai rasta main hun
karobar-e-sukun jari hai
chhinta wo hai mangta main hun
sare dariya usi ki jaanib hain
tairta wo hai Dubta main hun
bhiD lag jati hai marizon ki
chaaragar wo hai aur dawa main hun
tar aise juDe hain aankhon ke
sochta wo hai bolta main hun
chhap rahi hai abhi kitab-e-dil
sar-waraq wo hai hashiya main hun
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 92)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.