hath uThta hai mera jab bhi rag-e-jaan ki taraf
haath uThtā hai mirā jab bhī rag-e-jāñ kī taraf
dil se āvāz ye aatī hai bayābāñ kī taraf
ai junūñ rāh-e-mohabbat meñ mirā saath na chhoḌ
ik nazar dekh to le jaib-o-garebāñ kī taraf
dil kī zid hai ki abhī mahfil-e-jānāñ meñ rahūñ
umr kahtī hai chalo shahr-e-ḳhamoshāñ kī taraf
dekheñ is daur meñ kyā haal huā hai dil kā
le chalo mujh ko zarā shahr-e-nigārāñ kī taraf
dil dhaḌaktā hai mirā bād-e-sabā kuchh to batā
kyoñ ḳhizāñ jaatī nahīñ sehn-e-gulistāñ kī taraf
jaane kyā ahl-e-nazar dekh rahe haiñ 'aḳhtar'
un ke dāman kī taraf mere garebāñ kī taraf
hath uThta hai mera jab bhi rag-e-jaan ki taraf
dil se aawaz ye aati hai bayaban ki taraf
ai junun rah-e-mohabbat mein mera sath na chhoD
ek nazar dekh to le jaib-o-gareban ki taraf
dil ki zid hai ki abhi mahfil-e-jaanan mein rahun
umr kahti hai chalo shahr-e-KHamoshan ki taraf
dekhen is daur mein kya haal hua hai dil ka
le chalo mujh ko zara shahr-e-nigaran ki taraf
dil dhaDakta hai mera baad-e-saba kuchh to bata
kyon KHizan jati nahin sehn-e-gulistan ki taraf
jaane kya ahl-e-nazar dekh rahe hain 'aKHtar'
un ke daman ki taraf mere gareban ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.