hathon ko bana deti hai jab barg-e-hina surKH
hāthoñ ko banā detī hai jab barg-e-hinā surḳh
kar detī hai ruḳhsār ko phir sharm-o-hayā surḳh
tārīkiyāñ zaa.il hoñ to ho jaa.e saverā
phaile jo shafaq chaar sū ho jaa.e fazā surḳh
shāyad ki barasne ko hai phir aag falak se
kyoñ aaj nazar aane lagī hai ye ghaTā surḳh
ham hoñge shahīdān-e-vafā kyoñ na jahāñ meñ
malbūs hamāre liye hai jab ki banā surḳh
phir aaj sulagtā hai makāñ shahr meñ koī
vo duur ufuq par jo nazar aa.ī ziyā surḳh
hathon ko bana deti hai jab barg-e-hina surKH
kar deti hai ruKHsar ko phir sharm-o-haya surKH
tarikiyan zail hon to ho jae sawera
phaile jo shafaq chaar su ho jae faza surKH
shayad ki barasne ko hai phir aag falak se
kyon aaj nazar aane lagi hai ye ghaTa surKH
hum honge shahidan-e-wafa kyon na jahan mein
malbus hamare liye hai jab ki bana surKH
phir aaj sulagta hai makan shahr mein koi
wo dur ufuq par jo nazar aai ziya surKH
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.