hathon mein kaman un ke ho dil mera nishan ho
hāthoñ meñ kamāñ un ke ho dil merā nishāñ ho
mumkin hai mohabbat bhī mohabbat kā gumāñ ho
ik aag bhaḌaktī hī rahe dil meñ hamesha
ik dhuup lage aisī ki tan merā dhuāñ ho
tum mere liye daulat-e-jannat se nahīñ kam
tum merā tasavvur ho mirī 'aql-e-fishāñ ho
DhūñDūñ tumheñ nazroñ meñ ye mumkin hī nahīñ hai
tum dil ke taqāze meñ nihāñ jān-e-jahāñ ho
mumkin hai ki poshīda ho ik 'umr-e-tabassum
mumkin hai 'ayāñ aañkh meñ ik ḳhvāb-e-girāñ ho
jo 'ishq huā hai to hai taslīm hameñ sab
vo barq-e-tapāñ ho ki koī nok-e-sināñ ho
ḳhushbū se mo'attar ho tire she'r kā markaz
phūloñ kā mahaknā tirā andāz-e-bayāñ ho
mar jaane kī chāhat to hai 'kāvish' hameñ lekin
kyā kījiye gar chain yahāñ ho na vahāñ ho
hathon mein kaman un ke ho dil mera nishan ho
mumkin hai mohabbat bhi mohabbat ka guman ho
ek aag bhaDakti hi rahe dil mein hamesha
ek dhup lage aisi ki tan mera dhuan ho
tum mere liye daulat-e-jannat se nahin kam
tum mera tasawwur ho meri 'aql-e-fishan ho
DhunDun tumhein nazron mein ye mumkin hi nahin hai
tum dil ke taqaze mein nihan jaan-e-jahan ho
mumkin hai ki poshida ho ek 'umr-e-tabassum
mumkin hai 'ayan aankh mein ek KHwab-e-giran ho
jo 'ishq hua hai to hai taslim hamein sab
wo barq-e-tapan ho ki koi nok-e-sinan ho
KHushbu se mo'attar ho tere she'r ka markaz
phulon ka mahakna tera andaz-e-bayan ho
mar jaane ki chahat to hai 'kawish' hamein lekin
kya kijiye gar chain yahan ho na wahan ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.