hathon mein rassiyan hain
hāthoñ meñ rassiyāñ haiñ
pairoñ meñ beḌiyāñ haiñ
āñkhoñ meñ ek jañgal
jañgal meñ sīpiyāñ haiñ
maiñ ḳhvāb kyā sunā.ūñ
hoñToñ pe kirchiyāñ haiñ
shahzādiyāñ thiiñ pahle
ab sirf laḌkiyāñ haiñ
ik ek kar ke bujhtī
ham mom-battiyāñ haiñ
likh kar miTā dī jaa.eñ
ham vo kahāniyāñ haiñ
ham par bhī ik sahīfa
ham havvā-zādiyāñ haiñ
hathon mein rassiyan hain
pairon mein beDiyan hain
aankhon mein ek jangal
jangal mein sipiyan hain
main KHwab kya sunaun
honTon pe kirchiyan hain
shahzadiyan thin pahle
ab sirf laDkiyan hain
ek ek kar ke bujhti
hum mom-battiyan hain
likh kar miTa di jaen
hum wo kahaniyan hain
hum par bhi ek sahifa
hum hawwa-zadiyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.