hathon mein tha ek hath abhi kal ki baat hai
hathon mein tha ek hath abhi kal ki baat hai
Ehtisham Bachhrayuni
MORE BYEhtisham Bachhrayuni
hāthoñ meñ thā ik haath abhī kal kī baat hai
jannat thī kā.enāt abhī kal kī baat hai
nairangī-e-bahār-e-chaman ta.ana-zan hai kyoñ
rangīn thī hayāt abhī kal kī baat hai
itne baḌe jahāñ meñ akelā nahīñ thā maiñ
vo bhī the mere saath abhī kal kī baat hai
dil bhī thā aap bhī the javāñ hasrateñ bhī thiiñ
kyā kyā the vāqi.āt abhī kal kī baat hai
tabdīl ho gayā hai jo miTTī ke Dher meñ
vo dil thā somnāt abhī kal kī baat hai
aaj un ko dekhnā bhī muqaddar nahīñ rahā
hotī thī un se baat abhī kal kī baat hai
hañsiye na mujh pe vaqt kī mīzān dekhiye
din se sivā thī raat abhī kal kī baat hai
mere liye thā dosto har roz roz-e-īd
thī shab shab-e-barāt abhī kal kī baat hai
aaj 'ehtishām' koī bhī qīmat nahīñ rahī
thī apnī baat baat abhī kal kī baat hai
hathon mein tha ek hath abhi kal ki baat hai
jannat thi kaenat abhi kal ki baat hai
nairangi-e-bahaar-e-chaman tana-zan hai kyon
rangin thi hayat abhi kal ki baat hai
itne baDe jahan mein akela nahin tha main
wo bhi the mere sath abhi kal ki baat hai
dil bhi tha aap bhi the jawan hasraten bhi thin
kya kya the waqiat abhi kal ki baat hai
tabdil ho gaya hai jo miTTi ke Dher mein
wo dil tha somnat abhi kal ki baat hai
aaj un ko dekhna bhi muqaddar nahin raha
hoti thi un se baat abhi kal ki baat hai
hansiye na mujh pe waqt ki mizan dekhiye
din se siwa thi raat abhi kal ki baat hai
mere liye tha dosto har roz roz-e-id
thi shab shab-e-baraat abhi kal ki baat hai
aaj 'ehtisham' koi bhi qimat nahin rahi
thi apni baat baat abhi kal ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.