hathon mein tu ne phul uThae fuzul mein
hāthoñ meñ tū ne phuul uThā.e fuzūl meñ
aur maiñ ne apne zaḳhm chhupā.e fuzūl meñ
dil meñ tumhāre pahle hī maujūd thā koī
maiñ ne tumhāre naaz uThā.e fuzūl meñ
maiñ ne to dil kā dard batāyā thā bas tumheñ
jis par fasāne tum ne banā.e fuzūl meñ
sattar baras kī 'umr meñ bhī fā.eda na deñ
kyoñ tum ne aise peḌ ugaa.e fuzūl meñ
koī kisī kā dost nahīñ koī bhī nahīñ
'afnān' tum ne yaar banā.e fuzūl meñ
hathon mein tu ne phul uThae fuzul mein
aur main ne apne zaKHm chhupae fuzul mein
dil mein tumhaare pahle hi maujud tha koi
main ne tumhaare naz uThae fuzul mein
main ne to dil ka dard bataya tha bas tumhein
jis par fasane tum ne banae fuzul mein
sattar baras ki 'umr mein bhi faeda na den
kyon tum ne aise peD ugae fuzul mein
koi kisi ka dost nahin koi bhi nahin
'afnan' tum ne yar banae fuzul mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.