habs hī habs hai havā bhī nahīñ
koī khiḌkī na dar khulā bhī nahīñ
vo masāfat ki pair zaḳhmī haiñ
chāk-dāman silā huā bhī nahīñ
kashtī tūfāñ meñ ghir ga.ī merī
aur mire saath nāḳhudā bhī nahīñ
naañ koī hiir huuñ na sohnī huuñ
paar jaane kā hausla bhī nahīñ
vaqt ke bhī ajiib chakkar haiñ
mujh ko ye vaqt par milā bhī nahīñ
maañ to bachpan meñ mar ga.ī merī
ab mire saath ik duā bhī nahīñ
haa.e ye ziist kā safar 'kokī'
kaT gayā hai magar kaTā bhī nahīñ
habs hi habs hai hawa bhi nahin
koi khiDki na dar khula bhi nahin
wo masafat ki pair zaKHmi hain
chaak-daman sila hua bhi nahin
kashti tufan mein ghir gai meri
aur mere sath naKHuda bhi nahin
nan koi hir hun na sohni hun
par jaane ka hausla bhi nahin
waqt ke bhi ajib chakkar hain
mujh ko ye waqt par mila bhi nahin
man to bachpan mein mar gai meri
ab mere sath ek dua bhi nahin
hae ye zist ka safar 'koki'
kaT gaya hai magar kaTa bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.