had hai qafas ki habs se diwar-o-dar jale
had hai qafas kī habs se dīvār-o-dar jale
dekho parā.ī aag se apnā bhī ghar jale
pohñchā hai lā-makāñ se bhī aage mirā ḳhayāl
ahl-e-nazar kī had thī so ahl-e-nazar jale
apne hasad kī aag meñ jaltā rahā 'adū
merī uḌaan dekh ke kitnoñ ke par jale
sāhil kī jaañ laboñ pe thī shiddat se pyaas kī
dariyā kī be-dilī se kināre shajar jale
palkoñ ne is tarah se tarāshe haiñ ashk-e-tar
ye āb-e-girya dekh ke lā'l-o-guhar jale
ham bāñTte rahe haiñ añdheroñ meñ raushnī
ham raushnī-pasandoñ se shams-o-qamar jale
had hai qafas ki habs se diwar-o-dar jale
dekho parai aag se apna bhi ghar jale
pohncha hai la-makan se bhi aage mera KHayal
ahl-e-nazar ki had thi so ahl-e-nazar jale
apne hasad ki aag mein jalta raha 'adu
meri uDan dekh ke kitnon ke par jale
sahil ki jaan labon pe thi shiddat se pyas ki
dariya ki be-dili se kinare shajar jale
palkon ne is tarah se tarashe hain ashk-e-tar
ye aab-e-girya dekh ke la'l-o-guhar jale
hum banTte rahe hain andheron mein raushni
hum raushni-pasandon se shams-o-qamar jale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.