had se baDh jae bhi to dard dabae rakhna
had se baḌh jaa.e bhī to dard dabā.e rakhnā
apne jazbāt ko siine meñ chhupā.e rakhnā
har taraf ḳhaar haiñ aur raah bhī dushvār bahut
apne dāman ko salīqe se bachā.e rakhnā
jaane kis pal koī ta.abīr hī sach ho jaa.e
apnī nīñdoñ ko to ḳhvāboñ se sajā.e rakhnā
ham-safar kā hī pata aur na manzil kī ḳhabar
rāste ko to pata apnā batā.e rakhnā
tiir barseñ bhī agar haath na laġhzish khā.eñ
apne hāthoñ meñ to parcham ko uThā.e rakhnā
tirī bātoñ meñ ye talḳhī hai kyoñ kah de 'anvar'
tū ne sīkhā hī nahīñ sach ko chhupā.e rakhnā
had se baDh jae bhi to dard dabae rakhna
apne jazbaat ko sine mein chhupae rakhna
har taraf KHar hain aur rah bhi dushwar bahut
apne daman ko saliqe se bachae rakhna
jaane kis pal koi tabir hi sach ho jae
apni nindon ko to KHwabon se sajae rakhna
ham-safar ka hi pata aur na manzil ki KHabar
raste ko to pata apna batae rakhna
tir barsen bhi agar hath na laghzish khaen
apne hathon mein to parcham ko uThae rakhna
teri baaton mein ye talKHi hai kyon kah de 'anwar'
tu ne sikha hi nahin sach ko chhupae rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.