had se guzar na jaun main aisa na kijiye
had se guzar na jā.ūñ maiñ aisā na kījiye
mastī-bharī nigāh se dekhā na kījiye
palkoñ ko rāstoñ meñ bichhāyā na kījiye
yuuñ apne intizār ko rusvā na kījiye
paḌh leñge log chehre se dil kī kitāb ko
itnā kisī ke baare meñ sochā na kījiye
ġhairoñ pe e'tibār to hai baat duur kī
apnā bhī ho sake to bharosa na kījiye
merī nazar se aap kahāñ bach ke jā.eñge
maiñ aa.ina huuñ aap kā parda na kījiye
yuuñ mujh ko e'tibār bahut hai magar huzūr
va.ade to TuuT jaate haiñ va.ada na kījiye
rishta mirā zamīn se mazbūt hai bahut
ab mujh ko āsmāñ se pukārā na kījiye
ḳhud ko jahāñ se aadmī chhoTā dikhā.ī de
itnā bhī apne-āp ko ūñchā na kījiye
had se guzar na jaun main aisa na kijiye
masti-bhari nigah se dekha na kijiye
palkon ko raston mein bichhaya na kijiye
yun apne intizar ko ruswa na kijiye
paDh lenge log chehre se dil ki kitab ko
itna kisi ke bare mein socha na kijiye
ghairon pe e'tibar to hai baat dur ki
apna bhi ho sake to bharosa na kijiye
meri nazar se aap kahan bach ke jaenge
main aaina hun aap ka parda na kijiye
yun mujh ko e'tibar bahut hai magar huzur
wade to TuT jate hain wada na kijiye
rishta mera zamin se mazbut hai bahut
ab mujh ko aasman se pukara na kijiye
KHud ko jahan se aadmi chhoTa dikhai de
itna bhi apne-ap ko uncha na kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.