had se guzri hai ibtila meri
had se guzrī hai ibtilā merī
ab to sun le mirā ḳhudā merī
aaj begāna vo nigāheñ haiñ
thiiñ jo muddat se āshnā merī
kaun kartā hai mujh ġharīb pe rahm
kaun suntā hai iltijā merī
huuñ vo bīmār-e-ġham ki mushkil se
kar sakegā koī davā merī
na milā dil kā qadr-dāñ na milā
yuuñ hī rusvā huī vafā merī
koī insāf bhī hai duniyā meñ
baḌh ga.ī jurm se sazā merī
baat kuchh ban ga.ī to jānūñgā
kaam kuchh kar ga.ī duā merī
DhūñDhtā huuñ sukūn-e-dil 'hairat'
ye ḳhatā hai to hai ḳhatā merī
had se guzri hai ibtila meri
ab to sun le mera KHuda meri
aaj begana wo nigahen hain
thin jo muddat se aashna meri
kaun karta hai mujh gharib pe rahm
kaun sunta hai iltija meri
hun wo bimar-e-gham ki mushkil se
kar sakega koi dawa meri
na mila dil ka qadr-dan na mila
yun hi ruswa hui wafa meri
koi insaf bhi hai duniya mein
baDh gai jurm se saza meri
baat kuchh ban gai to jaanunga
kaam kuchh kar gai dua meri
DhunDhta hun sukun-e-dil 'hairat'
ye KHata hai to hai KHata meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.