hadaf aasani se hasil nahin hone dete
hadaf aasani se hasil nahin hone dete
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
hadaf āsānī se hāsil nahīñ hone dete
ḳhatm ham jaisoñ kī mushkil nahīñ hone dete
tum tasavvur meñ bhī hote ho bahut paas mire
tum kisī haal meñ ġhāfil nahīñ hone dete
paas aanā to bahut duur ki is shahr ke log
us kī tasvīr meñ shāmil nahīñ hone dete
zikr karte haiñ tirā ho ke alag duniyā se
ham kisī aur ko dāḳhil nahīñ hone dete
hijr kī pyaas bujhā.e nahīñ bujhtī 'jāmī'
vasl kā phuul bhī kāmil nahīñ hone dete
hadaf aasani se hasil nahin hone dete
KHatm hum jaison ki mushkil nahin hone dete
tum tasawwur mein bhi hote ho bahut pas mere
tum kisi haal mein ghafil nahin hone dete
pas aana to bahut dur ki is shahr ke log
us ki taswir mein shamil nahin hone dete
zikr karte hain tera ho ke alag duniya se
hum kisi aur ko daKHil nahin hone dete
hijr ki pyas bujhae nahin bujhti 'jami'
wasl ka phul bhi kaamil nahin hone dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.