hadd-e-junun ke par bhi jati rahi hun main
hadd-e-junūñ ke paar bhī jaatī rahī huuñ maiñ
dāman se apne aag bujhātī rahī huuñ meñ
sab dekhte rahe haiñ tamāshā khaḌe khaḌe
hañs kar badan kī ḳhaak uḌātī rahī huuñ maiñ
zanjīroñ meñ mirī koī jhankār to nahīñ
ashkoñ se apne shor machātī rahī huuñ maiñ
rakkhā hai sab ne qaid qafas meñ mujhe magar
zindāñ meñ āftāb ko laatī rahī huuñ maiñ
khīñchī thī āsmāñ pe nigah se lakīr ik
aahoñ se zarb ruuh miTātī rahī huuñ maiñ
vahshat meñ rū-ba-rū jo farishte hue 'shaġhaf'
harf-e-duā bhī un ko paḌhātī rahī huuñ maiñ
hadd-e-junun ke par bhi jati rahi hun main
daman se apne aag bujhati rahi hun mein
sab dekhte rahe hain tamasha khaDe khaDe
hans kar badan ki KHak uDati rahi hun main
zanjiron mein meri koi jhankar to nahin
ashkon se apne shor machati rahi hun main
rakkha hai sab ne qaid qafas mein mujhe magar
zindan mein aaftab ko lati rahi hun main
khinchi thi aasman pe nigah se lakir ek
aahon se zarb ruh miTati rahi hun main
wahshat mein ru-ba-ru jo farishte hue 'shaghaf'
harf-e-dua bhi un ko paDhati rahi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.