hadd-e-nazar tak virane hain aabaadi ka nam nahin
hadd-e-nazar tak vīrāne haiñ ābādī kā naam nahīñ
kis raste pe qadam baḌhā.ūñ koī rasta aam nahīñ
jaltā registān hai har-sū tund havā.eñ chaltī haiñ
dhū dhū kartī hai do-pahrī sub.h nahīñ hai shaam nahīñ
saarī umr guzārī maiñ ne ḳhuun ke aañsū pī pī kar
ḳhushiyoñ ke do ghūñT pilā de aisā koī jaam nahīñ
tanhā huuñ maiñ is duniyā meñ koī nahīñ hai mere saath
kis ko ab āvāz lagā.ūñ kuchh bhī to anjām nahīñ
dar dar jā kar dastak dī hai par ik dar bhī vā na huā
har-sū ḳhāmoshī hai 'bismil' kahīñ se kuchh paiġhām nahīñ
hadd-e-nazar tak virane hain aabaadi ka nam nahin
kis raste pe qadam baDhaun koi rasta aam nahin
jalta registan hai har-su tund hawaen chalti hain
dhu dhu karti hai do-pahri subh nahin hai sham nahin
sari umr guzari main ne KHun ke aansu pi pi kar
KHushiyon ke do ghunT pila de aisa koi jam nahin
tanha hun main is duniya mein koi nahin hai mere sath
kis ko ab aawaz lagaun kuchh bhi to anjam nahin
dar dar ja kar dastak di hai par ek dar bhi wa na hua
har-su KHamoshi hai 'bismil' kahin se kuchh paigham nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.