hadd-e-nigah dhup si bikhri hui lagi
hadd-e-nigāh dhuup sī bikhrī huī lagī
tere baġhair ek sazā zindagī lagī
sochā thā maiñ ne hañs ke guzar jā.uñgā magar
chalne pe raah ziist kī kāñToñ bharī lagī
duniyā hasīñ hai is kī har ik shai hasīñ magar
dil ko bhalī lagī to tirī sādgī lagī
us kā vujūd ho gayā mahsūs jis ghaḌī
ghar kī har ek chiiz mahaktī huī lagī
vo talḳhī-e-qazā ho ki rangīni-e-hayāt
sab meñ tirī nigāh kī jādūgarī lagī
kahte haiñ log bevafā us ko magar mujhe
kuchh apne pyaar apnī vafā meñ kamī lagī
jaise ki shab ke saath juḌī rahtī hai sahar
ranj-o-ḳhushī meñ bhī yūñhī vābastagī lagī
tū yuuñ basā huā hai dil-o-zehn meñ mire
jis bazm meñ gayā mujhe mahfil tirī lagī
nazreñ churā ke jaate use aaj dekh kar
qadmoñ tale zamīn saraktī huī lagī
aisī hai kyā ki jaan hī paayā na maiñ use
hastī bas ek ḳhvāb to kyā ḳhvāb sī lagī
'gulshan' vo jis ghaḌī se mire ham-safar hue
har raah zindagī kī chamaktī huī lagī
hadd-e-nigah dhup si bikhri hui lagi
tere baghair ek saza zindagi lagi
socha tha main ne hans ke guzar jaunga magar
chalne pe rah zist ki kanTon bhari lagi
duniya hasin hai is ki har ek shai hasin magar
dil ko bhali lagi to teri sadgi lagi
us ka wujud ho gaya mahsus jis ghaDi
ghar ki har ek chiz mahakti hui lagi
wo talKHi-e-qaza ho ki rangini-e-hayat
sab mein teri nigah ki jadugari lagi
kahte hain log bewafa us ko magar mujhe
kuchh apne pyar apni wafa mein kami lagi
jaise ki shab ke sath juDi rahti hai sahar
ranj-o-KHushi mein bhi yunhi wabastagi lagi
tu yun basa hua hai dil-o-zehn mein mere
jis bazm mein gaya mujhe mahfil teri lagi
nazren chura ke jate use aaj dekh kar
qadmon tale zamin sarakti hui lagi
aisi hai kya ki jaan hi paya na main use
hasti bas ek KHwab to kya KHwab si lagi
'gulshan' wo jis ghaDi se mere ham-safar hue
har rah zindagi ki chamakti hui lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.