hadis-e-ahd-e-guzishta hai ham-nashinon mein
hadīs-e-ahd-e-guzishta hai ham-nashīnoñ meñ
chhalak rahī hai sharāb aaj ābgīnoñ meñ
niyāz-mandī-e-yaktā-e-husn ke mūjib
hamāre naam kā charchā hai nāznīnoñ meñ
qafas kī tīliyāñ ham phūñkne ko ai sayyād
chhupā ke bijliyāñ laa.e haiñ apne sīnoñ meñ
hai ḳhud-farebī-e-zāhid kī muntahā ya.anī
zabāñ pe nām-e-ḳhudā but haiñ āstīnoñ meñ
bapā hai hashr kā tūfān bahr-e-hastī meñ
haiñ mahv-e-ḳhvāb magar nāḳhudā safīnoñ meñ
vo 'soz' aaj samā.e hue haiñ sāñsoñ meñ
kabhī ḳhayāl meñ aate the jo mahīnoñ meñ
hadis-e-ahd-e-guzishta hai ham-nashinon mein
chhalak rahi hai sharab aaj aabginon mein
niyaz-mandi-e-yakta-e-husn ke mujib
hamare nam ka charcha hai nazninon mein
qafas ki tiliyan hum phunkne ko ai sayyaad
chhupa ke bijliyan lae hain apne sinon mein
hai KHud-farebi-e-zahid ki muntaha yani
zaban pe nam-e-KHuda but hain aastinon mein
bapa hai hashr ka tufan bahr-e-hasti mein
hain mahw-e-KHwab magar naKHuda safinon mein
wo 'soz' aaj samae hue hain sanson mein
kabhi KHayal mein aate the jo mahinon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.