hadis-e-dard ko aaKHir bayan to hona tha
hadīs-e-dard ko āḳhir bayāñ to honā thā
jo karb dil meñ chhupā thā ayaañ to honā thā
vo paas rahte hue fāsloñ kā qaa.il thā
is ehtimām ko phir dāstāñ to honā thā
zamīñ kā taaj thā vo shaḳhs apnī hastī meñ
zamīñ se baḌh ke use āsmāñ to honā thā
dukhoñ kī dhuup ke is daur-e-be-muravvat meñ
mujhe kisī ke liye sā.ebāñ to honā thā
tujhe ye kis ne kahā thā hisāb maañg us se
ab aisī baat pe jaañ kā ziyāñ to honā thā
jahāñ sabhī the vahāñ par nahīñ thā maiñ lekin
jahāñ koī bhī nahīñ thā vahāñ to honā thā
jo maiñ na hotā sar-e-dār dūsrā hotā
kisī ko ḳhalq-e-ḳhudā kī zabāñ to honā thā
vo ḳhud pasand jafā-kār shaḳhs thā 'anvar'
natījatan use be-kārvāñ to honā thā
hadis-e-dard ko aaKHir bayan to hona tha
jo karb dil mein chhupa tha ayan to hona tha
wo pas rahte hue faslon ka qail tha
is ehtimam ko phir dastan to hona tha
zamin ka taj tha wo shaKHs apni hasti mein
zamin se baDh ke use aasman to hona tha
dukhon ki dhup ke is daur-e-be-murawwat mein
mujhe kisi ke liye saeban to hona tha
tujhe ye kis ne kaha tha hisab mang us se
ab aisi baat pe jaan ka ziyan to hona tha
jahan sabhi the wahan par nahin tha main lekin
jahan koi bhi nahin tha wahan to hona tha
jo main na hota sar-e-dar dusra hota
kisi ko KHalq-e-KHuda ki zaban to hona tha
wo KHud pasand jafa-kar shaKHs tha 'anwar'
natijatan use be-karwan to hona tha
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.