hadis-e-ishq-o-mohabbat ka raazdan hun main
hadīs-e-ishq-o-mohabbat kā rāzdāñ huuñ maiñ
jo māvarā-e-takallum hai vo bayāñ huuñ maiñ
ba-qaid-e-hosh na vābasta-e-fuġhāñ huuñ maiñ
ye kyā maqām hai ai dil batā kahāñ huuñ maiñ
bhaTak gayā huuñ ki nazdīk-e-āstāñ huuñ maiñ
ḳhayāl-e-dost Thahar dekh luuñ kahāñ huuñ maiñ
asīr-e-vahm huuñ pā-basta-e-gumāñ huuñ maiñ
yaqīñ ki had se abhī duur huuñ jahāñ huuñ maiñ
bhulā diyā jise duniyā ne vo fasāna huuñ
sune na jis ko zamāna vo dāstāñ huuñ maiñ
tirī nigāh meñ vo kyā hai kyā nahīñ ma.alūm
vo lafz jis kā ba-īñ-hāl tarjumāñ huuñ maiñ
nigāh-e-barq meñ din raat yuuñ khaTaktā huuñ
chaman meñ jaise koī shāḳh-e-āshiyāñ huuñ maiñ
jise na mil sakā unvāñ vo ik fasāna huuñ
jo nā-tamām hai 'zamzam' vo dāstāñ huuñ maiñ
hadis-e-ishq-o-mohabbat ka raazdan hun main
jo mawara-e-takallum hai wo bayan hun main
ba-qaid-e-hosh na wabasta-e-fughan hun main
ye kya maqam hai ai dil bata kahan hun main
bhaTak gaya hun ki nazdik-e-astan hun main
KHayal-e-dost Thahar dekh lun kahan hun main
asir-e-wahm hun pa-basta-e-guman hun main
yaqin ki had se abhi dur hun jahan hun main
bhula diya jise duniya ne wo fasana hun
sune na jis ko zamana wo dastan hun main
teri nigah mein wo kya hai kya nahin malum
wo lafz jis ka ba-in-haal tarjuman hun main
nigah-e-barq mein din raat yun khaTakta hun
chaman mein jaise koi shaKH-e-ashiyan hun main
jise na mil saka unwan wo ek fasana hun
jo na-tamam hai 'zamzam' wo dastan hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.