hai aab aab mauj bipharne ke bawajud
hai aab aab mauj bipharne ke bāvajūd
duniyā simaT rahī hai bikharne ke bāvajūd
rāh-e-fanā pe log sadā gāmzan rahe
har-har nafas pe maut se Darne ke bāvajūd
is bahr-e-kā.enāt meñ har kashtī-e-anā
ġharqāb ho ga.ī hai ubharne ke bāvajūd
shāyad paḌī hai raat bhī saare chaman pe os
bhīge hue haiñ phuul nikharne ke bāvajūd
zer-e-qadam hai chāñd sitāre haiñ gard-e-rāh
dhartī pe āsmāñ se utarne ke bāvajūd
tūfāñ meñ Duub kar ye huā mujh pe inkishāf
paanī thī sirf mauj bipharne ke bāvajūd
maiñ us maqām par to nahīñ aa gayā kahīñ
hogī na sub.h raat guzarne ke bāvajūd
alfāz-o-saut-o-rang-o-tasavvur ke ruup meñ
zinda haiñ log aaj bhī marne ke bāvajūd
ib.hām-e-āgahī se maiñ apne vajūd kā
iqrār kar rahā huuñ mukarne ke bāvajūd
hai aab aab mauj bipharne ke bawajud
duniya simaT rahi hai bikharne ke bawajud
rah-e-fana pe log sada gamzan rahe
har-har nafas pe maut se Darne ke bawajud
is bahr-e-kaenat mein har kashti-e-ana
gharqab ho gai hai ubharne ke bawajud
shayad paDi hai raat bhi sare chaman pe os
bhige hue hain phul nikharne ke bawajud
zer-e-qadam hai chand sitare hain gard-e-rah
dharti pe aasman se utarne ke bawajud
tufan mein Dub kar ye hua mujh pe inkishaf
pani thi sirf mauj bipharne ke bawajud
main us maqam par to nahin aa gaya kahin
hogi na subh raat guzarne ke bawajud
alfaz-o-saut-o-rang-o-tasawwur ke rup mein
zinda hain log aaj bhi marne ke bawajud
ibham-e-agahi se main apne wajud ka
iqrar kar raha hun mukarne ke bawajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.