hai aafat-e-jaan husn ki shoKHi bhi ada bhi
hai aafat-e-jaan husn ki shoKHi bhi ada bhi
Mahesh Chandra Naqsh
MORE BYMahesh Chandra Naqsh
hai āfat-e-jāñ husn kī shoḳhī bhī adā bhī
hoñToñ pe tabassum bhī hai nazroñ meñ hayā bhī
shāmil tirī āvāz meñ tāroñ kī navā bhī
sharminda tire nuur se kirnoñ kī ziyā bhī
mahfil hai ki mutrib ke ishāroñ pe miTī hai
suntā hai koī sāz-e-shikasta kī sadā bhī
rakhtā hai baġhāvat ke sharāre bhī nazar meñ
ye 'ishq jo hai paikar-e-taslīm-o-razā bhī
ruḳh pher diyā tund havāoñ kā kisī ne
hālāt se apne koī majbūr rahā bhī
bach kar hī chale ham to zamāne kī ravish se
āzād-ravī kā hameñ ehsās huā bhī
aksar lab-e-la.alīñ ke tabassum kī kiran ne
ummīd ke ḳhākoñ meñ nayā rañg bharā bhī
ai 'naqsh' kareñ soz-e-tamannā kā bayāñ kyā
sau baar diyā dil kā jalā bhī hai bujhā bhī
hai aafat-e-jaan husn ki shoKHi bhi ada bhi
honTon pe tabassum bhi hai nazron mein haya bhi
shamil teri aawaz mein taron ki nawa bhi
sharminda tere nur se kirnon ki ziya bhi
mahfil hai ki mutrib ke ishaaron pe miTi hai
sunta hai koi saz-e-shikasta ki sada bhi
rakhta hai baghawat ke sharare bhi nazar mein
ye 'ishq jo hai paikar-e-taslim-o-raza bhi
ruKH pher diya tund hawaon ka kisi ne
haalat se apne koi majbur raha bhi
bach kar hi chale hum to zamane ki rawish se
aazad-rawi ka hamein ehsas hua bhi
aksar lab-e-lalin ke tabassum ki kiran ne
ummid ke KHakon mein naya rang bhara bhi
ai 'naqsh' karen soz-e-tamanna ka bayan kya
sau bar diya dil ka jala bhi hai bujha bhi
- Book : Andaaz (Pg. 148)
- Author : Mahesh Chandr Naqsh
- Publication : Sangam Kitab Ghar, Delhi (1962)
- Edition : 1962
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.