hai aasebon ka saya main jahan hun
hai āseboñ kā saayā maiñ jahāñ huuñ
shab-e-dasht-e-balā meñ be-amāñ huuñ
havā kī zad pe jaise sham.a kī lau
maiñ apne hausloñ kā imtihāñ huuñ
charāġhāñ sā hai darvāze pe lekin
maiñ andar se koī tiira makāñ huuñ
vo bādal thā havā kā ham-safar thā
maiñ tishna-kām fasl-e-rā.igāñ huuñ
sutūñ kachche the bārish sah na paa.e
sulagtī dhuup meñ be-sā.ebāñ huuñ
patā merā ab us ko kyā milegā
nishāñ hote hue bhī be-nishāñ huuñ
hai aasebon ka saya main jahan hun
shab-e-dasht-e-bala mein be-aman hun
hawa ki zad pe jaise shama ki lau
main apne hauslon ka imtihan hun
charaghan sa hai darwaze pe lekin
main andar se koi tera makan hun
wo baadal tha hawa ka ham-safar tha
main tishna-kaam fasl-e-raigan hun
sutun kachche the barish sah na pae
sulagti dhup mein be-saeban hun
pata mera ab us ko kya milega
nishan hote hue bhi be-nishan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.